| 0 comments
Twitter icon tweet this page ;)

Uski hasti mein utar janay ko G chahta hai..
Kaam mushkil sahi, kar janey ko G chahta hai..

Shoq-e-Awaargi ab itna hai k ab ban k lahoo..
Us ki rag rag se guzar janey ko G chahta hai..

Pattahron k yehi anjaam hua karte hain..
Toot k aaj bikhar jaaney ko G chahta hai..

Takhta-e-Dar pe hum, Mahver-e-Tamasha Dunya..
Munfarid sab se nazar aaney ko G chahta hai..

Lab pe muskaam ho aur Dil mein ho mehshar barpa..
Aisey haalat mein mar janay ko G chahta hai..

Jis jaga ja k koi laut k phir aata nahi...
Janay kyun aaj udhar janay ko G chahta hai..

Aaj tan mann ko jalati hai hawa bhi kyun...
Aaj matti mein utar janay ko G chahta hai..//

Twitter icon tweet this page ;)
| 0 comments
Twitter icon tweet this page ;)

Teri ulfat mein har ek hadd se guzar jana hai ...
Tere bin ab hamein jeena nahi, mar jana hai..

Bin tere ab kaise mukammal ho ye safar jeevan ka..
Saamne aagayi manzil tou tehar jana hai..

Apni saanson ko tere naam kia tha humne..
kia khabar kabhi tujh se bhi bichar jana hai ...

Saaray kaanton ko teri raah se hata dene k baad..
Ban k gul khud tere raste mein bikhar jana hai..

Meri hasti hai faqt rait mein likha hua naam..
Ek zara tez hawa ayi, tou urr jana hai..

Tou na karna kabhi SHAH kisi waadey pe yaqeen..
Ahl-e-Dunya ne tou waadon se mukar jana hai..//

Twitter icon tweet this page ;)
| 0 comments
Twitter icon tweet this page ;)

Ajnabhi hai tou merer zehan mein kyun rahta hai...?
Wo jo patthar hai, tou sheeshon ka maseeha kyun hai ..?

Wo hawa hai tou guzar jaye,, hawaon ki tarhan ...
Wo samader hai tou bahta rahe, therha kyun hai..?

Mere aangan mein nahi hai koi umeedon ka gulaab..
Phir ye mausam mere aangan mein utarta kyun hai ..?

Jis k chehre pe sabhi jhoot ki tehreerein hain...
Dil usi shakhs k waadon se behalta kyun hai ..?

Ye mera DIL, ye MAUSAM, ye ANJAAN sa DIL..
Phir najaney itna DHARAKTA kyun hai..?

Twitter icon tweet this page ;)
| 0 comments
Twitter icon tweet this page ;)

Wafa ki daastan-e-ghum chalo hum tumko sunate hain...
Jo dil per daag hain apne chalo tumko dikhate hain...

Suno neendein nahi aati, k dil beetaab rahta hai...
Kabhi titli k kacchey rang, kabhi jugno satate hain...

Suno jab shaam hoti hai andheron se khafa ho kar...
Teri yaadon k mandir mein chiraag-e-shab jalatey hain.../

Twitter icon tweet this page ;)
| 0 comments
Twitter icon tweet this page ;)

Uski chahat ka sila yaad nahi..
Yaad hai jurm.. Saza yaad nahi...

Torr kar humsafari ka raasta..
Wo kahan chor gaye, Yaad nahi...

Apney girney ka sabab yaad tou hai...
Ki bulandi se girey, Yaad nahi...

Yaad hai uska bicharna humko..
Phir hamein jo bhi mila, Yaad nahi...

Twitter icon tweet this page ;)
| 0 comments
Twitter icon tweet this page ;)

Tera dard tha, teri yaad thi..
Main jahan raha, main jidhar gaya...

Mera din tou yunhi guzar gaya..
Junhi shaam hui main bikhar gaya...

Is abr ka mere yaar se..
bara milta julta mizaaj tha..
Kabhi toot k baras gaya...
Kabhi berukhi se guzar gaya..

Jab mein chor dunga wo gali...
Usay yaad ayegi tab meri...

Khojay ga wo tab mujhe...
Usay khabar miley gi main guzar gaya...

Abhi tang hai wo mere naam se..
Mere baad ayega wo doston...

Wo tumhein ko rouk k pooche ga..
Wo kahan pe hai, Wo kidhar gaya.../

Twitter icon tweet this page ;)
Powered By Blogger